SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShaz Tamkanat(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo niyaaz-o-naaz ke marhale nigah-o-sukhan se chale gae tire rang-o-bu ke vo qaafile tire pairahan se chale gae koi aas hai na hiraas hai shab-e-maah kitni udaas hai vo jo rang rang ke aks the vo kiran kiran se chale gae koi un ki aankhein saraahtaa koi vahshaton se nibaahtaa ki vo aahuvaan-e-ramida-khu ye sunaa khutan se chale gae kai mehr-o-mah utar aae the vo yahin the mere ghar aae the vo kali kali se dar aae the vo chaman chaman se chale gae mire dil ki aab-o-havaa lagi ki vafaa bhi un ko khataa lagi vahi saadgi se jo aae the vahi baankpan se chale gae na to kufr ke na khudaa ke ham na davaa ke ham na duaa ke ham ki butaan-e-kaaba-e-aarzu dil-e-barhaman se chale gae ye miraa fareb-e-nazar nahin mire ham-qadam the yahin kahin mujhe aahaTein bhi na mil sakin vo baDe jatan se chale gae ye bajaa ki tohfa-e-jaan liye tire paas aae the be piye vo gadaagaraan-e-tahi-subu tire husn-e-zan se chale gae yahi tujh se apnaa thaa vaasta yahi thi hayaat-e-muaashqa tiri khalvaton ke sharik the tiri anjuman se chale gae pas-e-umr baazu-e-shauq par sar-e-naaz thaa to hui khabar kai rat-jage tire gesuon ki shikan shikan se chale gae vo bujhe bujhe vo luTe luTe sar-e-raah 'shaaz' mile to the unhein ab vatan mein na DhunDiye ki vo ab vatan se chale gae"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"ek raat aap ne ummid pe kyaa rakkhaa hai aaj tak ham ne charaaghon ko jalaa rakkhaa hai sausan o nastaran o sumbul o raihaan o gulaab teri yaadon ko gulistaan mein chhupaa rakkhaa hai vajh-e-aavaargi-e-ishq-e-fasurda maalum nigah-naaz ko parda saa banaa rakkhaa hai dard daulat hi sahi pahlu-e-raahat hi sahi kuchh dinon ishq ne bhi khud ko bachaa rakkhaa hai le uDe ahl-e-junun husn ki ik ek adaa khalvat o bazm mein ab farq hi kyaa rakkhaa hai haae khushbu se tire dard ki nisbat na gai main ne har phuul ko siine se lagaa rakkhaa hai aaj to shikva-e-mahrumi-e-didaar nahin ham ne kal ke liye is gham ko uThaa rakkhaa hai"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"jaane vaale tujhe kab dekh sakun baar-e-digar raushni aankh ki bah jaaegi aansu ban kar tu hissar-e-dar-o-divaar liye jaae kidhar meraa kyaa hai ki main huun dasht-ba-dil khaana ba-sar kaun jaane miri tanhaai-pasandi kyaa hai bas tire zikr kaa andesha tire naam kaa Dar yuun bhi ashkon kaa dhundalkaa thaa sujhaai na diyaa kis ne luuTaa dam-e-rukhsat sar-o-saamaan-e-safar kis ne dekhaa hai miraa shahr-e-khamoshaan-e-hayaat dil ki vaadi se guzarnaa hai to aahista guzar ro rahaa huun ki tire saath hansaa thaa barson hans rahaa huun ki koi dekh na le dida-e-tar ye miri zakhm-e-nasibi ye tiri hairaani main ne tere hi ishaara pe to Daali thi sipar TuuT jaaegaa nasha dekh koi naam na le aankh bhar aaegi is tarah miraa jaam na bhar koi gum-gashta har aaghaaz-e-safar se pahle chuum letaa hai tiri yaad kaa bhaari patthar main ne har raat yahi soch ke aansu ponchhe munh dikhaanaa bhi hai duniyaa ko ba-hangaam-e-sahar 'shaaz' ko sabr ataa kar ke baDaa kaam kiyaa us ne kyaa maangaa thaa kyaa paayaa hai ai rabb-e-hunar"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"jin zakhmon par thaa naaz hamein vo zakhm bhi bharte jaate hain saansein hain ki ghaTti jaati hain din hain ki guzarte jaate hain divaar hai gum-sum dar tanhaa phir hote chale hain shajar tanhaa kuchh dhuup si Dhalti jaati hai kuchh saae utarte jaate hain ham yunhi nahin hain sust-qadam ham jaante hain fardaa kyaa hai shaayad koi de aavaaz hamein rah rah ke Thaharte jaate hain aavaaz vo shisha-e-naazuk hai mehraab-e-nazar mein rahne de kyuun farsh samaaat par gir kar reze ye bikharte jaate hain roein yaa hansein is haalat par ehsaas ye hotaa hai aksar vaada to kisi se 'shaaz' na thaa ham hain ki mukarte jaate hain"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"meri vahshat kaa tire shahr mein charchaa hogaa ab mujhe dekh ke shaayad tujhe dhokaa hogaa saaf rasta hai chale aao su-e-dida-o-dil aql ki raah se aaoge to pheraa hogaa kaun samjhegaa bhalaa husn-e-gurezaan ki adaa mere iisaa ne miraa haal na puchhaa hogaa vajh-e-be-rangi-e-har-shaam-o-sahar kyaa hogi main ne shaayad tujhe har rang mein dekhaa hogaa ab kahin tu hi Dubove hamein ai mauj-e-saraab varna phir shikva-e-paayaabi-e-dariyaa hogaa koi tadbir bataa ai dil-e-aazaar-pasand us ko ji-jaan se bhulaane mein to arsa hogaa husn ki khalvat-e-saada bhi hai sad-bazm-taraaz ishq mahfil mein bhi hogaa to akelaa hogaa jhuTpuTaa chhaayaa hai kaun aayaa hai darvaaze par dekhnaa 'shaaz' koi subh kaa bhulaa hogaa"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"banaa husn-e-takallum husn-e-zan aahista aahista bahar-surat khulaa ik kam-sukhan aahista aahista musaafir raah mein hai shaam gahri hoti jaati hai sulagtaa hai tiri yaadon kaa ban aahista aahista dhuaan dil se uThe chehre tak aae nuur ho jaae baDi mushkil se aataa hai ye fan aahista aahista abhi to sang-e-tiflaan kaa hadaf bannaa hai kuchon mein ki raas aataa hai ye divaana-pan aahista aahista abhi to imtihaan-e-aabla-paa hai bayaabaan mein baneinge kunj-e-gul dasht-o-daman aahista aahista abhi kyunkar kahun zer-e-naqaab-e-surmagin kyaa hai badaltaa hai zamaane kaa chalan aahista aahista mein ahl-e-anjuman ki khalvat-e-dil kaa mughanni huun mujhe pahchaan legi anjuman aahista aahista dil-e-har-sang goyaa sham-e-mehraab-e-tamannaa hai asar karti hai zarb-e-kohkan aahista aahista kisi kaafir ki shokhi ne kahlavaai ghazal mujh se khulegaa 'shaaz' ab rang-e-sukhan aahista aahista"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"rang laayaa miraa be-barg-o-navaa ho jaanaa itnaa aasaan na thaa us kaa khudaa ho jaanaa kaun aavaaz baras ban ke rahaa mahmil-e-naaz kis ki qismat mein hai sahraa ki sadaa ho jaanaa hashr tak be-gunahi naaz karegi mujh par vo miraa teri nigaahon mein buraa ho jaanaa mujh pe vo vaqt paDaa hai ki shikaayat kaisi tujh ko laazim thaa ba-har-haal khafaa ho jaanaa meri taqdir pe tohmat hi uThaai jaati tujh ko zebaa na thaa yuun khud se judaa ho jaanaa aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jaan tere huzur sar se paa tak vo miraa dast-e-duaa ho jaanaa 'shaaz' kaanp uTThe mire tark-e-mohabbat ke qadam vo kisi pursish-e-pinhaan kaa balaa ho jaanaa"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"havaa ke dosh pe raqs-e-sahaab jaisaa thaa tiraa vajud haqiqat mein khvaab jaisaa thaa dam-e-vidaaa samundar bichhaa rahaa thaa koi tamaam-shahr hi chashm-e-pur-aab jaisaa thaa miri nigaah mein rangon ki dhuup chhaanv si thi hujum-e-gul mein vo kyaa thaa gulaab jaisaa thaa hamaari pyaas ne vo bhi nazaara dekh liyaa ravaan-davaan koi dariyaa saraab jaisaa thaa jhuki nigaah vo kam kam sukhan dam-e-iqraar vo harf harf tiraa intikhaab jaisaa thaa mujhe to sair-e-jahaan sair-e-baazgasht hui tiraa jahaan dil-e-khaana-kharaab jaisaa thaa shikasta khvaabon ke TukDon ko joDte the ham vo din ajiib thaa roz-e-hisaab jaisaa thaa hamein baratne mein kuchh ehtiyaat laazim thi dilon kaa haal shikasta kitaab jaisaa thaa main 'shaaz' kyaa kahun kyaa raushni thi raahon mein vo aaftaab na thaa aaftaab jaisaa thaa"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"nafas nafas hai tire gham se chuur chuur ab tak na shaam hai na saveraa qarib duur ab tak suni-sunaai pe mat jaa zaraa qarib to aa sazaa na de ki mohabbat hai be-qusur ab tak machal rahi hai kahin ju-e-shir ai farhaad kalim san to sahi jal rahaa hai tuur ab tak mire khudaa main kahaan jaaun kis tarah DhunDun mujhe pukaar rahaa hai koi zarur ab tak na tu miraa na tiri ham-nashiniyaan meri bharam hai jis ko samajhte hain sab ghurur ab tak idhar vafur-e-mohabbat udhar muravvat thi jo kuchh kahaa thaa bhulaa de tire huzur ab tak chalaa gayaa hai makin chhoD kar makaan apnaa koi nahin hai magar chhan rahaa hai nuur ab tak vo ek haadisa-e-ruh-o-dil ki biit gayaa jise na maan sakaa 'shaaz' kaa shuur ab tak"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"pyaasaa huun reg-zaar mein dariyaa dikhaai de jo haal puchh le vo masihaa dikhaai de har taaza vaarid-e-kham-e-gesu ko dekh kar mujh ko phir apnaa ahd-e-tamannaa dikhaai de qurbat ki aanch aai ki jalne lagaa badan duuri kaa daur aaj chamaktaa dikhaai de lahje ke loch mein hai gunaahon ki dilkashi aankhon mein maabadon kaa saveraa dikhaai de har zaaviye ko jism ke ahl-e-nazar ki pyaas har khat tire badan kaa saraapaa dikhaai de chubhte hue libaas kaa chhantaa huaa jamaal but-gar naqaab-e-sang ulaTtaa dikhaai de paDti hai saat rangon pe tere badan ki choT jo rang tu pahan le vo gahraa dikhaai de kyaa kyaa haqiqaton pe hain parde paDe hue tu hai kisi kaa aur kisi kaa dikhaai de khalvat ki anjuman hai vafaaon kaa silsila kyaa zikr-e-ishq husn bhi tanhaa dikhaai de is aas ne to apnaa safina Dubo diyaa tufaan thame to koi jazira dikhaai de dariyaa pe aansuon ke tujhe DhunDhtaa huun main paani pe teraa naqsh-e-kaf-e-paa dikhaai de har shakhs apne aap taaaqub mein hai ravaan aalam tamaam ek tamaashaa dikhaai de aao ki dekh aaein faraamoshiyon kaa shahr mumkin hai koi apnaa paraayaa dikhaai de 'makhdum' o 'jaami' aah kahaan kho ke rah gae arz-e-dakan mein 'shaaz' akelaa dikhaai de"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"bahut dinon se hai ji mein savaal puchhungaa main tere aaine se teraa haal puchhungaa bahut hasin hai ye duniyaa magar zavaal ke saath khudaa se hashr mein husn-e-zavaal puchhungaa sukut-e-shaam se kyuun nisbat-e-tabiat hai sukut-e-shaam se vajh-e-malaal puchhungaa tu be-misaal hai teri misaal kyaa puchhun main kuchh nahin magar apni misaal puchhungaa miraa khayaal hai meri nigaah mein hai jamaal tire jamaal kaa kyaa hai khayaal puchhungaa kharaab aks hain shisha-ba-dast kyuun saaqi qusur-e-baada-e-jaam-e-sifaal puchhungaa fazaa udaas hai jangal ki saaein saaein hai 'shaaz' main kis se vahshat-e-chashm-e-ghazaal puchhungaa"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"misaal-e-shoala-o-shabnam rahaa hai aankhon mein vo ek shakhs jo kam kam rahaa hai aankhon mein kabhi ziyaada kabhi kam rahaa hai aankhon mein lahu kaa silsila paiham rahaa hai aankhon mein na jaane kaun se aalam mein us ko dekhaa thaa tamaam umr vo aalam rahaa hai aankhon mein tiri judaai mein taare bujhe hain palkon par nikalte chaand kaa maatam rahaa hai aankhon mein ajab banaav hai kuchh us ki chashm-e-kam-go kaa ki sail-e-aah koi tham rahaa hai aankhon mein vo chhup rahaa hai khud apni panaah-e-mizhgaan mein badan tamaam mujassam rahaa hai aankhon mein azal se taa-ba-abad koshish-e-javaab hai 'shaaz' vo ik savaal jo mubham rahaa hai aankhon mein"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"hayaat raas na aae ajal bahaana kare tire baghair bhi jiinaa paDe khudaa na kare main roz martaa huun is intizaar ke sadqe buraa na maan agar zindagi vafaa na kare ham ek ho gae do din mein kis tarah allaah yahi duaa hai koi tisraa judaa na kare manaayaa jashn-e-shab-e-gham ki ek din to kaTaa jo tujh se chhuT ke jiitaa rahe vo kyaa na kare main apni raushni-e-taba se laraztaa huun miraa junun mujhe manzil se aashnaa na kare main kyaa bataaun ki qurbat kaa faasla kyaa hai ki jaise ghar to banaae koi rahaa na kare"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"maanaa ki mere zarf se baDh kar mujhe na do shabnam hi maangtaa huun samundar mujhe na do jis ko havaa ke rukh pe na kholaa gayaa kabhi ik aise baadbaan kaa muqaddar mujhe na do divaar jis ki sarhad sahraa se jaa mile aisi sazaa-e-khaana-e-be-dar mujhe na do lau de rahi hai soch ke vaqfa ki khaamushi har baat kaa javaab sambhal kar mujhe na do kuchh de sako agar to koi khvaab saunp do saaya talaash kartaa huun paikar mujhe na do main aap apne jurm-o-sazaa kaa harif huun ilzaam-e-shauq sab ke baraabar mujhe na do gar sun sako to 'shaaz' ki khaamoshiyaan suno taklif-e-arz-e-haal mukarrar mujhe na do"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"zaraa si baat thi baat aa gai judaai tak hansi ne chhoD diyaa laa ke jag-hansaai tak bhale se ab koi teri bhalaai ginvaae ki main ne chaahaa thaa tujh ko tiri buraai tak tu chupke chupke muravvat se kyuun bichhaDtaa hai miraa ghurur bhi thaa teri kaj-adaai tak mujhe to apni nadaamat ki daad bhi na mili main us ke saath rahaa apni naa-rasaai tak is aaine kaa to ab reza reza chubhtaa hai ye aaina jise takti rahi khudaai tak ye haadsa hai mire zabt-e-haal ke haathon safed ho gai kaaghaz pe raushnaai tak pukaarti rahin aankhein chalaa gayaa hai koi vo ik sukut thaa aavaaz se duhaai tak nikal ke dekhaa qafas se to aankh bhar aai vo fasl-e-gul ki khaDi thi miri rihaai tak ghazab hai TuuT ke chaahaa thaa 'shaaz' ne jis ko sunaa ye rasm bhi thi surat-aashnaai tak"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"koi to aa ke rulaa de ki hans rahaa huun main bahut dinon se khushi ko taras rahaa huun main sahar ki os mein bhigaa huaa badan teraa vo aanch hai ki chaman mein jhulas rahaa huun main qadam qadam pe bikhartaa chalaa huun sahraa mein sadaa ki tarah makin-e-jaras rahaa huun main koi ye kah de miri aarzu ke moti se sadaf sadaf ki qasam hai baras rahaa huun main hayaat-e-ishq mujhe aaj ajnabi na samajh ki saaya saaya tire pesh-o-pas rahaa huun main nafas ki aamad-o-shud bhi hai saanehe ki tarah gavaah rah ki tiraa ham-nafas rahaa huun main jahaan bhi nuur milaa khil uThaa shafaq ki tarah jahaan bhi aag mili khaar-o-khas rahaa huun main"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"saanson mein base ho tum aankhon mein chhupaa lungaa jab chaahun tumhein dekhun aaina banaa lungaa yaadon se kaho meri baalin se chali jaaein ab ai shab-e-tanhaai aaraam zaraa lungaa ranjish se judaai tak kyaa saaneha guzraa hai kyaa kyaa mujhe daavaa thaa jab chaahun manaa lungaa tasvir khayaali hai har aankh savaali hai duniyaa mujhe kyaa degi duniyaa se mein kyaa lungaa kab lauT ke aaoge israar nahin kartaa itnaa mire bas mein hai main umr ghaTaa lungaa kyaa tohmatein duniyaa ne ai 'shaaz' uThaai hain ik tohmat-e-hasti thi sochaa thaa uThaa lungaa"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"kuchh ajab aan se logon mein rahaa karte the ham khafaa ho ke bhi aapas mein milaa karte the itni tahzib-e-rah-o-rasm to baaqi thi ki vo laakh ranjish sahi vaada to vafaa karte the us ne puchhaa thaa kai baar magar kyaa kahte ham mizaajan hi pareshaan rahaa karte the khatm thaa ham pe mohabbat kaa tamaashaa goyaa ruuh aur jism ko har roz judaa karte the ek chup-chaap lagan si thi tire baare mein log aa aa ke sunaate the sunaa karte the teri surat se khudaa se bhi shanaasaai thi kaise kaise tire milne ki duaa karte the us ko ham-raah liye aate the meri khaatir mere gham-khvaar mire haq mein buraa karte the zindagi ham se tire naaz uThaae na gae saans lene ki faqat rasm adaa karte the ham baras paDte the 'shaaz' apni hi tanhaai par abr ki tarah kisi dar se uThaa karte the"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"miraa zamir bahut hai mujhe sazaa ke liye tu dost hai to nasihat na kar khudaa ke liye vo kashtiyaan miri patvaar jin ke TuuT gae vo baadbaan jo taraste rahe havaa ke liye bas ek huuk si dil se uThe ghaTaa ki tarah ki harf o saut zaruri nahin duaa ke liye jahaan mein rah ke jahaan se baraabari ki ye choT ik imtihaan-e-musalsal miri anaa ke liye namida-khu hai ye miTTi har ek mausam mein zamin-e-dil hai tarasti nahin ghaTaa ke liye main teraa dost huun tu mujh se is tarah to na mil barat ye rasm kisi surat-aashnaa ke liye milungaa khaak mein ik roz biij ke maanind fanaa pukaar rahi hai mujhe baqaa ke liye mah o sitaara o khurshid o charkh haf-iqlim ye ehtimaam mire dast-e-naa-rasaa ke liye jafaa jafaa hi agar hai to ranj kyaa ho 'shaaz' vafaa ki pusht-panaahi bhi ho jafaa ke liye"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat
Quote
"koi tanhaai kaa ehsaas dilaataa hai mujhe main bahut duur huun nazdik bulaataa hai mujhe main ne mahsus kiyaa shahr ke hangaame mein koi sahraa mein hai, sahraa mein bulaataa hai mujhe tu kahaan hai ki tiri zulf kaa saaya saaya har ghani chhaanv mein le jaa ke biThaataa hai mujhe ai mire haal-e-pareshaan ke nigah-daar ye kyaa kis qadar duur se aaina dikhaataa hai mujhe ai makin-e-dil-o-jaan main tiraa sannaaTaa huun main imaarat huun tiri kis liye Dhaataa hai mujhe rahm kar main tiri mizhgaan pe huun aansu ki tarah kis qayaamat ki bulandi se giraataa hai mujhe 'shaaz' ab kaun si tahrir ko taqdir kahun koi likhtaa hai mujhe koi miTaataa hai mujhe"
Shaz TamkanatShaz Tamkanat