Shayari
meri barbaadi mein hissa hai apnon kaa
mumkin hai ye baat ghalat ho par lagtaa hai
uD gae aas ke sabhi panchhi
jin kaa dil mein mire baseraa thaa
اڑ گئے آس کے سبھی پنچھی
جن کا دل میں مرے بسیرا تھا
उड़ गए आस के सभी पंछी
जिन का दिल में मिरे बसेरा था

meri barbaadi mein hissa hai apnon kaa
mumkin hai ye baat ghalat ho par lagtaa hai
guzre jo apne yaaron ki sohbat mein chaar din
aisaa lagaa basar hue jannat mein chaar din
aa gae dil mein vasvase kitne
vaqt jab e'tibaar kaa aayaa
Thukraa ke chale jaanaa hai bar-haq tumhein lekin
bas rakhnaa khayaal itnaa jahaan ko na khabar ho
ishq kachche ghaDe pe Duub gayaa
lamha jab intizaar kaa aayaa
jo faqr mein surur hai shaahi mein vo kahaan
ham bhi rahe hain nashsha-e-daulat mein chaar din
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
surat chhupaaiye kisi surat-parast se
ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke
'azfari' ghuncha-e-dil band aur aai hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le
misl-e-majnun jo pareshaan hai bayaabaan mein aaj
kyuun dilaa kaun samaayaa hai tire dhyaan mein aaj
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gayaa