Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
عرصے سے اس دیار کی کوئی خبر نہیں
مہلت ملے تو آج کا اخبار دیکھ لیں
अर्से से इस दयार की कोई ख़बर नहीं
मोहलत मिले तो आज का अख़बार देख लें

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
aankh khulte hi bastiyaan taaraaj
koi lazzat nahin hai khvaabon mein
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
main ne dekhe hain kai rang zamaane vaale
be-vafaa tum baa-vafaa main dekhiye hotaa hai kyaa
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai
kabhi jo yaar ko dekhaa to khvaab mein dekhaa
miri muraad bhi aai to mustaaar aai
jashn thaa aish-o-tarab ki intihaa thi main na thaa
yaar ke pahlu mein khaali meri jaa thi main na thaa
khalvat-saraa-e-yaar mein pahunchegaa kyaa koi
vo band-o-bast hai ki havaa kaa guzar nahin