Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
ایک منظر میں لپٹے بدن کے سوا
سرد راتوں میں کچھ اور دکھتا نہیں
एक मंज़र में लिपटे बदन के सिवा
सर्द रातों में कुछ और दिखता नहीं

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
aankh khulte hi bastiyaan taaraaj
koi lazzat nahin hai khvaabon mein
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
zaahir huaa hai mujh pe yatimi ki pahli raat
ab meraa jism aadhaa hai aadhaa nahin rahaa
raat ko ashk diye khuun diyaa aahein diin
phir kahin jaa ke ye 'mahmud' ujaale hue hain