Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
aankh khulte hi bastiyaan taaraaj
koi lazzat nahin hai khvaabon mein
آنکھ کھلتے ہی بستیاں تاراج
کوئی لذت نہیں ہے خوابوں میں
आँख खुलते ही बस्तियाँ ताराज
कोई लज़्ज़त नहीं है ख़्वाबों में

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
khvaab kaa darvaaza kui masdud kar detaa hai roz
paDte hain raaton ko yaan aise hi patthar khvaab mein
aur mat dekhiye ab adl-e-jahaangir ke khvaab
aur kuchh kijiye zanjir hilaane ke sivaa
khvaahishon ki dhuul se chehre ubharte hi nahin
ham ne kar ke dekh liin khvaabon ki taabirein bahut
din nikalte hi vo khvaabon ke jazire kyaa hue
subh kaa suraj miri aankhein churaa kar le gayaa