Shayari
tumhaare sang-e-taghaaful kaa kyuun karein shikva
is aaine kaa muqaddar hi TuTnaa hogaa
mire khvaabon ki chikni siDhiyon par
na jaane kis kaa but TuuTaa paDaa hai
مرے خوابوں کی چکنی سیڑھیوں پر
نہ جانے کس کا بت ٹوٹا پڑا ہے
मिरे ख़्वाबों की चिकनी सीढ़ियों पर
न जाने किस का बुत टूटा पड़ा है

tumhaare sang-e-taghaaful kaa kyuun karein shikva
is aaine kaa muqaddar hi TuTnaa hogaa
khaDaa huaa huun sar-e-raah muntazir kab se
ki koi guzre to gham kaa ye bojh uThvaa de
mire khulus pe shak ki to koi vajh nahin
mire libaas mein khanjar agar chhupaa niklaa
maazi ke reg-zaar pe rakhnaa sambhal ke paanv
bachchon kaa is mein koi gharaundaa banaa na ho
sadaa kise dein 'naimi' kise dikhaaein zakhm
ab itni raat gae kaun jaagtaa hogaa
main bhi is safha-e-hasti pe ubhar saktaa huun
rang to tum miri tasvir mein bhar kar dekho
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
ham aae roz nayaa khvaab dekhte hain magar
ye log vo nahin jo khvaab se bahal jaaein
tumhaare hone kaa shaayad suraagh paane lage
kanaar-e-chashm kai khvaab sar uThaane lage