Shayari
ye qaid hai to rihaai bhi ab zaruri hai
kisi bhi samt koi raasta mile to sahi
falak par uDte jaate baadalon ko dekhtaa huun main
havaa kahti hai mujh se ye tamaashaa kaisaa lagtaa hai
فلک پر اڑتے جاتے بادلوں کو دیکھتا ہوں میں
ہوا کہتی ہے مجھ سے یہ تماشا کیسا لگتا ہے
फ़लक पर उड़ते जाते बादलों को देखता हूँ मैं
हवा कहती है मुझ से ये तमाशा कैसा लगता है

ye qaid hai to rihaai bhi ab zaruri hai
kisi bhi samt koi raasta mile to sahi
din guzarte hain guzarte hi chale jaate hain
ek lamha jo kisi tarah guzartaa hi nahin
lauT gae sab soch ke ghar mein koi nahin hai
aur ye ham ki andheraa kar ke baiTh gae hain
utre the maidaan mein sab kuchh Thiik kareinge
sab kuchh ulTaa sidhaa kar ke baiTh gae hain
logon ne bahut chaahaa apnaa saa banaa Daalein
par ham ne ki apne ko insaan bahut rakkhaa
duur basti pe hai dhuaan kab se
kyaa jalaa hai jise bujhaate nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai