Shayari
pahle aansu se dil halkaa hotaa thaa
ab aankhon se khuun bahaanaa paDtaa hai
baaton ki qimat jab ghaTne lagti hai
tab ashkon ko kaam mein laanaa paDtaa hai
باتوں کی قیمت جب گھٹنے لگتی ہے
تب اشکوں کو کام میں لانا پڑتا ہے
बातों की क़ीमत जब घटने लगती है
तब अश्कों को काम में लाना पड़ता है

apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ik faqat yaad hai jaanaa un kaa
aur kuchh is ke sivaa yaad nahin
'shujaa' vo khairiyat puchhein to hairat mein na paD jaanaa
pareshaan karne vaale khair-khvaahon mein bhi hote hain
un baaton par mat jaanaa jo 'aam huiin
dekho kitni sachchaai hai aankhon mein
talaatum aarzu mein hai na tufaan justuju mein hai
javaani kaa guzar jaanaa hai dariyaa kaa utar jaanaa