Shayari
baaton ki qimat jab ghaTne lagti hai
tab ashkon ko kaam mein laanaa paDtaa hai
pahle aansu se dil halkaa hotaa thaa
ab aankhon se khuun bahaanaa paDtaa hai
پہلے آنسو سے دل ہلکا ہوتا تھا
اب آنکھوں سے خون بہانا پڑتا ہے
पहले आँसू से दिल हल्का होता था
अब आँखों से ख़ून बहाना पड़ता है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
dard kaa zaaiqa bataaun kyaa
ye ilaaqa zabaan se baahar hai
tumhaare hisse ke jitne bhi gham hain main le luun
mire nasib ki har ik khushi mile tum ko