Shayari
us peD ke har phal mein miraa haq zaraa rakhnaa
jis nanhe se paude ko shajar main ne kiyaa hai
auron ki aag kyaa tujhe kundan banaaegi
apni bhi aag mein kabhi chup-chaap jal ke dekh
اوروں کی آگ کیا تجھے کندن بنائے گی
اپنی بھی آگ میں کبھی چپ چاپ جل کے دیکھ
औरों की आग क्या तुझे कुंदन बनाएगी
अपनी भी आग में कभी चुप-चाप जल के देख

us peD ke har phal mein miraa haq zaraa rakhnaa
jis nanhe se paude ko shajar main ne kiyaa hai
amaan mein aa ke bhi jis ki main be-amaan rahun
kisi bhi aisi nazar kaa mujhe hisaar na de
vahin pe jhaaD ke uThte hain phir mataa’-e-hayaat
ki zindagi ko jahaan jis ke naam karte hain
main us ki dhun mein nae raaste pe jaa nikli
dayaar-e-jaan se miri roz jo guzartaa rahaa
us ne meri shaakhon ko is tarah numu bakhshi
zakhm ke khileinge phuul dard kaa chaman hogaa
ham tire saae mein kuchh der Thaharte kaise
ham ko jab dhuup se vahshat nahin karni aai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
main to is vaaste chup huun ki tamaashaa na bane
tu samajhtaa hai mujhe tujh se gilaa kuchh bhi nahin
abhi safar mein koi moD hi nahin aayaa
nikal gayaa hai ye chup-chaap daastaan se kaun
main ne bachpan mein adhuraa khvaab dekhaa thaa koi
aaj tak masruf huun us khvaab ki takmil mein
bachpan ne hamein di hai ye shirini-e-guftaar
urdu nahin ham maan ki zabaan bol rahe hain
meri khaamoshi pe the jo taana-zan
shor mein apne hi bahre ho gae