Shayari
kahun ki shaikh-e-zamaana huun laaf to ye hai
main apne but kaa barahman huun saaf to ye hai
G
Gulam Yahya Huzur Azimabadiishq mein dard se hai hurmat-e-dil
chashm ko aabru hai aansu se
عشق میں درد سے ہے حرمت دل
چشم کو آبرو ہے آنسو سے
इश्क़ में दर्द से है हुर्मत-ए-दिल
चश्म को आबरू है आँसू से
kahun ki shaikh-e-zamaana huun laaf to ye hai
main apne but kaa barahman huun saaf to ye hai
shab-e-hijr mein ek din dekhnaa
agar zindagi hai to mar jaaeinge
kabhi haath bhi aaegaa yaar sach kah
yaa yunhi tu baatein banaataa rahegaa
na tu jaldi kar ai dast-e-junun naaseh ko siine de
bahaar aa pahunchi ab koi Thaharte hain rafu is ke
hai afsos ai umr jaane kaa tere
ki tu mere paas ek muddat rahi hai
yaar gar puchhe to kiije kuchh arz
baat par baat kahi jaati hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tiri zulfon ke saae mein agar ji luun main pal-do-pal
na ho phir gham jo mere naam sahraa likh diyaa jaae
duur mujh se rahte hain saare gham zamaane ke
teri yaad ki khushbu dil mein jab Thaharti hai
kuchh badan ki zabaan kahti thi
aansuon ki zabaan mein thaa kuchh