Shayari
har khvaab shikasta hai taamir-e-nasheman kaa
har subh ke maathe par baazaar ki garmi hai
ye khulaa jism khule baal ye halke malbus
tum nai subh kaa aaghaaz karoge shaayad
یہ کھلا جسم کھلے بال یہ ہلکے ملبوس
تم نئی صبح کا آغاز کرو گے شاید
ये खुला जिस्म खुले बाल ये हल्के मल्बूस
तुम नई सुब्ह का आग़ाज़ करोगे शायद

har khvaab shikasta hai taamir-e-nasheman kaa
har subh ke maathe par baazaar ki garmi hai
tumhaari guftugu se aas ki khushbu chhalakti hai
jahaan tum ho vahaan pe zindagi maalum hoti hai
gum-sum saa khaDaa hai koi darvaaza-e-dil par
is shaam kaa manzar to dil-aavez bahut hai
main zehni taur pe aavaara hotaa jaataa huun
mire shuur mujhe apni had ke andar khinch
sataati hai tumhaari yaad jab mujh ko shab-e-hijraan
mujhe khud apni hasti ajnabi maalum hoti hai
taarikh bataaegi vo qatra hai ki dariyaa
aansu hai abhi vaqt ke qadmon mein paDaa hai
hai shaam-e-avadh gesu-e-dildaar kaa partav
aur subh-e-banaras hai rukh-e-yaar kaa partav
koi hangaama-e-hayaat nahin
raat khaamosh hai sahar khaamosh
gham-e-firaaq ko siine se lag ke sone do
shab-e-tavil ki hogi sahar kabhi na kabhi
ishq ki duniyaa mein kyaa kyaa ham ko saughaatein milin
suuni subhein roti shaamein jaagti raatein milin
subh hoti hai to kunj-e-khush-gumaani mein kahin
pheink di jaati hai shab bhar ki siyaahi baandh kar
shab ki divaar giri to dekhaa
nok-e-nashtar hai sahar kuchh bhi nahin