Shayari
vaaiz khataa-muaaf ki rindaan-e-mai-kada
dil ke sivaa kisi kaa kahaa maante nahin
ishq ki duniyaa mein kyaa kyaa ham ko saughaatein milin
suuni subhein roti shaamein jaagti raatein milin
عشق کی دنیا میں کیا کیا ہم کو سوغاتیں ملیں
سونی صبحیں روتی شامیں جاگتی راتیں ملیں
इश्क़ की दुनिया में क्या क्या हम को सौग़ातें मिलीं
सूनी सुब्हें रोती शामें जागती रातें मिलीं

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko