Shayari
har khvaab shikasta hai taamir-e-nasheman kaa
har subh ke maathe par baazaar ki garmi hai
taarikh bataaegi vo qatra hai ki dariyaa
aansu hai abhi vaqt ke qadmon mein paDaa hai
تاریخ بتائے گی وہ قطرہ ہے کہ دریا
آنسو ہے ابھی وقت کے قدموں میں پڑا ہے
तारीख़ बताएगी वो क़तरा है कि दरिया
आँसू है अभी वक़्त के क़दमों में पड़ा है

har khvaab shikasta hai taamir-e-nasheman kaa
har subh ke maathe par baazaar ki garmi hai
ye khulaa jism khule baal ye halke malbus
tum nai subh kaa aaghaaz karoge shaayad
tumhaari guftugu se aas ki khushbu chhalakti hai
jahaan tum ho vahaan pe zindagi maalum hoti hai
gum-sum saa khaDaa hai koi darvaaza-e-dil par
is shaam kaa manzar to dil-aavez bahut hai
main zehni taur pe aavaara hotaa jaataa huun
mire shuur mujhe apni had ke andar khinch
sataati hai tumhaari yaad jab mujh ko shab-e-hijraan
mujhe khud apni hasti ajnabi maalum hoti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aisi taraqqi par to ronaa bantaa hai
jis mein dahshat-gard corona bantaa hai