Shayari
uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
hai shaam-e-avadh gesu-e-dildaar kaa partav
aur subh-e-banaras hai rukh-e-yaar kaa partav
ہے شام اودھ گیسوئے دلدار کا پرتو
اور صبح بنارس ہے رخ یار کا پرتو
है शाम-ए-अवध गेसू-ए-दिलदार का परतव
और सुब्ह-ए-बनारस है रुख़-ए-यार का परतव

uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
baad taklif ke raahat hai yaqini 'vaahid'
raat kaa aanaa hi paighaam-e-sahar hotaa hai
gul ghunche aaftaab shafaq chaand kahkashaan
aisi koi bhi chiiz nahin jis mein tu na ho
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'vaahid'
unhin ke naam hain duniyaa mein jin ke kaam achchhe hain
aazaad to barson se hain arbaab-e-gulistaan
aai na magar taaqat-e-parvaaz abhi tak
shakhsiyyat-e-fankaar muamma nahin 'vaahid'
fan hi mein huaa kartaa hai fankaar kaa partav
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
har manzar ke andar bhi ik manzar hai
dekhne vaalaa bhi to ho tayyaar mujhe
bahut chhoTe hain mujh se mere dushman
jo meraa dost hai mujh se baDaa hai
mukhaalifon ne khabar jab koi uDaa di hai
to doston ne use aur bhi havaa di hai
ai shaam-e-hijr-e-yaar miri tu gavaahi de
main tere saath saath rahaa ghar nahin gayaa
logo ham to ek hi surat mein hathiyaar uThaate hain
jab dushman ho apne jaisaa khud-sar bhi aur ham-sar bhi