Shayari
dekh lein aap bhi raunaqein khuld ki
shaikh ji aaj chaliye chalein mai-kade
main ne ik baar mohabbat se na dekhaa us ko
jis ne har baar mohabbat se mujhe dekhaa hai
میں نے اک بار محبت سے نہ دیکھا اس کو
جس نے ہر بار محبت سے مجھے دیکھا ہے
मैं ने इक बार मोहब्बत से न देखा उस को
जिस ने हर बार मोहब्बत से मुझे देखा है

dekh lein aap bhi raunaqein khuld ki
shaikh ji aaj chaliye chalein mai-kade
dekhe hai un ki zulf ko har roz aaina
'ahras' siyaah-bakht ko ye bhi nahin nasib
zindagi Dhote hue log kahaan tak jaaein
koi is sang-e-garaan se nahin bach paayaa hai
ik musalsal dhaDak phir yakaayak sukun
un ke dekhe se dil kaa 'ajab haal hai
phir nahin mere sivaa koi bhi hotaa teraa
tu agar jaan ye jaataa ki mohabbat kyaa hai
TuTegaa aap kaa dil khadsha hai ye mujhe
zinhaar mujh se nisbat rakhiye na aap bhi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
kyaa kahaa ishq jaavedaani hai!
aakhiri baar mil rahi ho kyaa
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein