Shayari
udaasi muskuraati hai miyaan tab sher hote hain
nami aankhon mein aati hai miyaan tab sher hote hain
kisi gaanv mein kachche ghar ki chhaanv mein koi Tahni
khushi se lahlahaati hai miyaan tab sher hote hain
کسی گاؤں میں کچے گھر کی چھاؤں میں کوئی ٹہنی
خوشی سے لہلہاتی ہے میاں تب شعر ہوتے ہیں
किसी गाँव में कच्चे घर की छाँव में कोई टहनी
ख़ुशी से लहलहाती है मियाँ तब शे'र होते हैं

udaasi muskuraati hai miyaan tab sher hote hain
nami aankhon mein aati hai miyaan tab sher hote hain
kise khabar thi khizaan qatl-e-aam kar degi
tumhaare naam se khilte hue gulaabon kaa
baat kuchh yuun hai ki kal raat bhari mahfil mein
us kaa jab zikr huaa baat badal di main ne
suraj sitaare chaand falak kahkashaan zamin
bas ik nazar mein dekh liye aasmaan zamin
ashk bahne lag gae manzar nikharne lag gayaa
main tamaashaa ban gayaa aur ek khiDki khul gai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
aaina to 'aibon ki khabar detaa hai 'aasif'
khush-fahmi-e-insaan kaa magar koi kare kyaa
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
kaun si aisi kami mere khad-o-khaal mein hai
aaina khush nahin hotaa kabhi mil kar mujh se
tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai