Shayari
khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
bhuul gai vo shakl bhi aakhir
kab tak yaad koi rahtaa hai
بھول گئی وہ شکل بھی آخر
کب تک یاد کوئی رہتا ہے
भूल गई वो शक्ल भी आख़िर
कब तक याद कोई रहता है

khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham
koi tasvir mukammal nahin hone paati
dhuup dete hain to saayaa nahin rahne dete
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
tire aane kaa din hai tere raste mein bichhaane ko
chamakti dhuup mein saae ikaTThe kar rahaa huun main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hai ek baat jo mauzu-e-guftugu banti
mile jo aap to kam-bakht yaad hi na rahi
chalo baanT lete hain apni sazaaein
na tum yaad aao na ham yaad aaein
naghmon ki ibtidaa thi kabhi mere naam se
ashkon ki intihaa huun mujhe yaad kijiye
jab jaam diyaa thaa saaqi ne jab daur chalaa thaa mahfil mein
ik hosh ki saaat kyaa kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae
main ne jin ke liye raahon mein bichhaayaa thaa lahu
ham se kahte hain vahi ahd-e-vafaa yaad nahin