Shayari
ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
naghmon ki ibtidaa thi kabhi mere naam se
ashkon ki intihaa huun mujhe yaad kijiye
نغموں کی ابتدا تھی کبھی میرے نام سے
اشکوں کی انتہا ہوں مجھے یاد کیجئے
नग़्मों की इब्तिदा थी कभी मेरे नाम से
अश्कों की इंतिहा हूँ मुझे याद कीजिए

ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
kal jinhein chhu nahin sakti thi farishton ki nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
charaagh-e-tur jalaao baDaa andheraa hai
zaraa naqaab uThaao baDaa andheraa hai
log kahte hain raat biit chuki
mujh ko samjhaao! main sharaabi huun
ye zulf-bar-dosh kaun aayaa ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai fazaa-e-hasti tamaam aalam bahaar saa hai
teri surat jo ittifaaq se ham
bhuul jaaein to kyaa tamaashaa ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil miraa dard ke sivaa kyaa hai
ibtidaa ye to intihaa kyaa hai
is aalam-e-viraan mein kyaa anjuman-aaraai
do roz ki mahfil hai ik umr ki tanhaai
ek shoala saa uThaa thaa dil mein
jaane kis ki thi sadaa yaad nahin