Shayari
barsaat tham chuki hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
sab ke aangan jhaankne vaale ham se hi kyuun bair tujhe
kab tak teraa rasta dekhein saari raat ke jaage ham
سب کے آنگن جھانکنے والے ہم سے ہی کیوں بیر تجھے
کب تک تیرا رستہ دیکھیں ساری رات کے جاگے ہم
सब के आँगन झाँकने वाले हम से ही क्यूँ बैर तुझे
कब तक तेरा रस्ता देखें सारी रात के जागे हम

barsaat tham chuki hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
luTeron ke liye soti hain aankhein
magar ham apne andar jaagte hain
kaaghaz ki naav huun jise tinkaa Dubo sake
yuun bhi nahin ki aap se ye bhi na ho sake
roz o shab bech diye hain main ne
is bulandi se giraataa kyaa hai
niind ko log maut kahte hain
khvaab kaa naam zindagi bhi hai
hamaari saansein mili hain gin ke
na jaane kitne baje hain din ke
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
subh hoti hai to kunj-e-khush-gumaani mein kahin
pheink di jaati hai shab bhar ki siyaahi baandh kar
garmi bahut hai aaj khulaa rakh makaan ko
us ki gali se raat ko purvaai aaegi
is bhare shahr mein din raat Thaharte hi nahin
kaun yaadon ke safar-naame ko tahrir kare