Shayari
ye bhi tai hai ki jo boeinge vo kaaTeinge yahaan
aur ye bhi ki jo khoeinge vahi paaeinge
kyaa kahegaa kabhi milne bhi agar aaegaa vo
ab vafaadaari ki qasmein to nahin khaaegaa vo
کیا کہے گا کبھی ملنے بھی اگر آئے گا وہ
اب وفاداری کی قسمیں تو نہیں کھائے گا وہ
क्या कहेगा कभी मिलने भी अगर आएगा वो
अब वफ़ादारी की क़स्में तो नहीं खाएगा वो

ye bhi tai hai ki jo boeinge vo kaaTeinge yahaan
aur ye bhi ki jo khoeinge vahi paaeinge
bas ek shaam kaa har shaam intizaar rahaa
magar vo shaam kisi shaam bhi nahin aai
ab aap khud hi bataaein ye zindagi kyaa hai
karam bhi us ne kiye hain magar sitam jaise
ye jo ham khoe khoe rahte hain
is mein kuchh dakhl hai tumhaaraa bhi
gham sabhi dil se rukhsat hue
dard be-intihaa rah gayaa
main ne ai dil tujhe siine se lagaayaa huaa hai
aur tu hai ki miri jaan ko aayaa huaa hai
hain yaadgaar-e-aalam-e-faani ye donon chiiz
us ki jafaa aur apni vafaa likh rakheinge ham
jafaa se unhon ne diyaa dil pe daagh
mukammal vafaa ki sanad ho gai
tiri vafaa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
aa umr-e-rafta hashr ke dam-kham bhi dekh lein
tufaan-e-zindagi ki vo halchal uThaa to laa
'ehsaan' aisaa talkh javaab-e-vafaa milaa
ham is ke baa'd phir koi armaan na kar sake
dil ki dharti par vafaa kaa moajiza rakkhaa gayaa
phir dilon ke darmiyaan kyuun faasla rakkhaa gayaa