Shayari
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
agar mazhab khalal-andaaz hai mulki maqaasid mein
to shaikh o barhaman pinhaan rahein dair o masaajid mein
اگر مذہب خلل انداز ہے ملکی مقاصد میں
تو شیخ و برہمن پنہاں رہیں دیر و مساجد میں
अगर मज़हब ख़लल-अंदाज़ है मुल्की मक़ासिद में
तो शैख़ ओ बरहमन पिन्हाँ रहें दैर ओ मसाजिद में

leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
dukhtar-e-raz ne uThaa rakkhi hai aafat sar par
khairiyat guzri ki angur ke beTaa na huaa
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
royaa thaa kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin
main us ghaDi vatan se kai miil duur thaa
mafaad-e-qaum se naa-aashnaa kirdaar se aari
ye be-peindi ke loTe hain jidhar chaahein luDhak jaaein
uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai