Shayari
haadse se baDaa saaneha ye huaa
koi Thahraa nahin haadsa dekh kar
mafaad-e-qaum se naa-aashnaa kirdaar se aari
ye be-peindi ke loTe hain jidhar chaahein luDhak jaaein
مفاد قوم سے نا آشنا کردار سے عاری
یہ بے پیندی کے لوٹے ہیں جدھر چاہیں لڑھک جائیں
मफ़ाद-ए-क़ौम से ना-आश्ना किरदार से आरी
ये बे-पेंदी के लोटे हैं जिधर चाहें लुढ़क जाएँ

haadse se baDaa saaneha ye huaa
koi Thahraa nahin haadsa dekh kar
phir to tum sar pe uThaa loge zamaane-bhar ko
sar uThaane ki ijaazat nahin di jaaegi
us ke rukhsaar pe hai aur tire honT pe til
tilmilaane ki ijaazat nahin di jaaegi
is se andesha-e-fardaa ki juein jhaDti hain
sar khujaane ki ijaazat nahin di jaaegi
vo close-up to kisi bhi incloser mein na thaa
apne TV par jo ham ho kar magan dekhaa kiye
ye ho saktaa nahin kyuun paas aakhir
miraa beTaa shariat bill nahin hai
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
vatan ki ret zaraa eDiyaan ragaDne de
mujhe yaqin hai ki paani yahin se niklegaa
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin naayaab hain ham
jo yaad na aae bhuul ke phir ai ham-nafaso vo khvaab hain ham
javaano nazr de do apne khun-e-dil kaa har qatra
likhaa jaaegaa hindostaan ko farmaan-e-aazaadi
kisi laashe pe ye baad-e-sabaa kahti hui guzri
shahid-e-ishq hai is ke lahu ko taaza kahte hain
na intizaar karo in kaa ai azaa-daaro
shahid jaate hain jannat ko ghar nahin aate