Shayari
khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
rahtaa hai ibaadat mein hamein maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-khudaa karte hain, kar le na khudaa yaad
رہتا ہے عبادت میں ہمیں موت کا کھٹکا
ہم یاد خدا کرتے ہیں کر لے نہ خدا یاد
रहता है इबादत में हमें मौत का खटका
हम याद-ए-ख़ुदा करते हैं कर ले न ख़ुदा याद

khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasinon ko bhi kitnaa sahl hai bijli giraa denaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aataa hai
kahin chalne ki zid karnaa miraa tayyaar ho jaanaa
tumhaare bin nahin lete kabhi karvaT akele ham
tumhaari yaad bhi karvaT hamaare saath leti hai
kis kaa hai jigar jis pe ye bedaad karoge
lo dil tumhein ham dete hain kyaa yaad karoge
tiri yaadon ke sahraa mein sanam kyaa kyaa nahin hotaa
jahaan ho tishnagi kaa gham vahaan dariyaa nahin hotaa