Shayari
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
vaah kyaa raah dikhaai hai hamein murshid ne
kar diyaa kaabe ko gum aur kalisaa na milaa
واہ کیا راہ دکھائی ہے ہمیں مرشد نے
کر دیا کعبے کو گم اور کلیسا نہ ملا
वाह क्या राह दिखाई है हमें मुर्शिद ने
कर दिया का'बे को गुम और कलीसा न मिला

leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
dukhtar-e-raz ne uThaa rakkhi hai aafat sar par
khairiyat guzri ki angur ke beTaa na huaa
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
aur agar chaahe ki ho 'khvaah-makhvaah' shohrat teri
yusufi gar nahin mumkin to zulekhaai kar
faqir-e-shahr bhi rahaa huun 'shahryaar' bhi magar
jo itminaan faqr mein hai taaj-o-takht mein nahin
kabhi darvesh ke takiya mein bhi aa kar dekho
tang-dasti mein bhi aaraam mayassar niklaa
nigaah chaahiye bas ahl-e-dil faqiron ki
buraa bhi dekhun to mujh ko bhalaa nazar aae
ye baadshaah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikaaltaa hai
ghar-baar chhoD kar vo faqiron se jaa mile
chaahat ne baadshaahon ko mahkum kar diyaa