Shayari
kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
dushmani ko buraa na kah ai dost
dekh kyaa dosti hai ghaur se dekh
دشمنی کو برا نہ کہہ اے دوست
دیکھ کیا دوستی ہے غور سے دیکھ
दुश्मनी को बुरा न कह ऐ दोस्त
देख क्या दोस्ती है ग़ौर से देख

kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
abhi bahaar ne sikhi kahaan hai dil-jui
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye daastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tiri kyuun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
ajiib bhul-bhulayyaan hai shaahraah-e-hayat
bhaTakne vaale yahaan justuju ki baat na kar
ik husn-e-mukammal hai to ik ishq-saraapaa
hoshyaar saa ik shakhs hai divaana saa ik shakhs
bachaa bachaa ke guzarnaa hai daaman-e-hasti
sharik-e-khaar bhi kuchh jashn-e-nau-bahaar mein hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dam na niklaa yaar ki naa-mehrbaani dekh kar
sakht hairaan huun main apni sakht-jaani dekh kar
jab nigaahon ke ishaaraat badal jaate hain
khud-ba-khud pyaar ke jazbaat badal jaate hain
dekho na zaat paat na naam-o-nasab 'shifaa'
par dost jab banaao to kirdaar dekh kar
har samt main huun aur mire hone ki hai khabar
duniyaa visaal-e-yaar se pahle ki baat thi
ulTaa mujh ko hi uThaa leinge uThaane vaale
laapata pyaaron ke baare mein agar puchhungaa