Shayari
kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
ik husn-e-mukammal hai to ik ishq-saraapaa
hoshyaar saa ik shakhs hai divaana saa ik shakhs
اک حسن مکمل ہے تو اک عشق سراپا
ہشیار سا اک شخص ہے دیوانہ سا اک شخص
इक हुस्न-ए-मुकम्मल है तो इक इश्क़-सरापा
होश्यार सा इक शख़्स है दीवाना सा इक शख़्स

kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
abhi bahaar ne sikhi kahaan hai dil-jui
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye daastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tiri kyuun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
dushmani ko buraa na kah ai dost
dekh kyaa dosti hai ghaur se dekh
ajiib bhul-bhulayyaan hai shaahraah-e-hayat
bhaTakne vaale yahaan justuju ki baat na kar
bachaa bachaa ke guzarnaa hai daaman-e-hasti
sharik-e-khaar bhi kuchh jashn-e-nau-bahaar mein hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
un ko ulfat hi sahi aghyaar se
ham se kyon aghyaar ki baatein karein
aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke sivaa
raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
vahshat-e-dil ke kharidaar bhi naapaid hue
kaun ab ishq ke baazaar mein kholegaa dukaan
maanaa jivan mein aurat ik baar mohabbat karti hai
lekin mujh ko ye to bataa de kyaa tu aurat zaat nahin