Shayari
shaakh-e-tanhaai se phir nikli bahaar-e-fasl-e-zaat
apni surat par hue ham phir bahaal us ke liye
dil jahaan baat kare dil hi jahaan baat sune
kaar-e-dushvaar hai us tarz mein kahnaa achchhaa
دل جہاں بات کرے دل ہی جہاں بات سنے
کار دشوار ہے اس طرز میں کہنا اچھا
दिल जहाँ बात करे दिल ही जहाँ बात सुने
कार-ए-दुश्वार है उस तर्ज़ में कहना अच्छा

shaakh-e-tanhaai se phir nikli bahaar-e-fasl-e-zaat
apni surat par hue ham phir bahaal us ke liye
tapish gulzaar tak pahunchi lahu divaar tak aayaa
charaagh-e-khud-kalaami kaa dhuaan baazaar tak aayaa
koi tashbih kaa khurshid na talmih kaa chaand
sar-e-qirtaas lagaa harf-e-barhana achchhaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai