Shayari
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
kuchh is tarah se yaad aate rahe ho
ki ab bhuul jaane ko ji chaahtaa hai
کچھ اس طرح سے یاد آتے رہے ہو
کہ اب بھول جانے کو جی چاہتا ہے
कुछ इस तरह से याद आते रहे हो
कि अब भूल जाने को जी चाहता है

kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
duur rah kar na karo baat qarib aa jaao
yaad rah jaaegi ye raat qarib aa jaao
inqilaabaat-e-dahr ki buniyaad
haq jo haqdaar tak nahin pahunchaa
ai aarzu ke dhundle kharaabo javaab do
phir kis ki yaad aai thi mujh ko pukaarne
nazaa ke dam bhi unhein hichki na aaegi kabhi
yunhi gar bhule raheinge vo 'sakhi' ki yaad ko