Shayari
bik jaataa huun haathon-haath
had se ziyaada sastaa huun
kaise tum bhuul gae ho mujhe aasaani se
ishq mein kuchh bhi to aasaan nahin hotaa hai
کیسے تم بھول گئے ہو مجھے آسانی سے
عشق میں کچھ بھی تو آسان نہیں ہوتا ہے
कैसे तुम भूल गए हो मुझे आसानी से
इश्क़ में कुछ भी तो आसान नहीं होता है

bik jaataa huun haathon-haath
had se ziyaada sastaa huun
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
ek rishta jise main de na sakaa koi naam
ek rishta jise taa-umr nibhaae rakkhaa
bas isi ummid pe hotaa gayaa barbaad main
gar kabhi bikhraa to aa kar tu sambhaalegaa mujhe
tu sirf meri hai us kaa ghurur hai mujh ko
agar ye vahm meraa hai to koi baat nahin
thaa mujhe vahm-o-gumaan ki vo faqat meri hai
aur us ne bhi bharam meraa banaae rakkhaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
zindagi yunhi bahut kam hai mohabbat ke liye
ruuTh kar vaqt ganvaane ki zarurat kyaa hai
dosti khvaab hai aur khvaab ki taabir bhi hai
rishta-e-ishq bhi hai yaad ki zanjir bhi hai
masruf hain kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaghaaz to kar lete hain jaari nahin rakhte
haqiqi ishq ki ishq-e-majaazi pahli manzil hai
chalo su-e-khudaa ai zaahidon ku-e-butaan ho kar