Shayari
Daraavnaa hai bahut hai baDaa ghanaa jangal
nikal na paaoge is se hai ik anaa jangal
Tahal rahaa hai ik aansu labon ke paas miraa
bigaaD kuchh nahin sakti hai ab ye pyaas miraa
ٹہل رہا ہے اک آنسو لبوں کے پاس مرا
بگاڑ کچھ نہیں سکتی ہے اب یہ پیاس مرا
टहल रहा है इक आँसू लबों के पास मिरा
बिगाड़ कुछ नहीं सकती है अब ये प्यास मिरा

Daraavnaa hai bahut hai baDaa ghanaa jangal
nikal na paaoge is se hai ik anaa jangal
saanson ko bu-e-zist se kafnaa diyaa gayaa
khaak-e-badan mein ruuh ko dafnaa diyaa gayaa
ik manzil-e-safar bhi to ab tak nahin mili
main shin-e-shaaeri pe nahin huun alif pe huun
parinde dekh kar us shakhs ko par phaDphaDaate hain
jo qaid-e-dil hai zaahir mein magar aazaad lagtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
meraa maqsad ki vo khush hon miri khaamoshi se
un ko andesha ki ye bhi koi fariyaad na ho
tu ham se hai bad-gumaan sad afsos
tere hi to jaan-nisaar hain ham
donon ne kiyaa hai mujh ko rusvaa
kuchh dard ne aur kuchh davaa ne