Shayari
agar ho qais to phir jaa ke DhunDo lailaa ko
agar ho jaun to phir faariha ke saath raho
ik tajassus huaa kartaa hai bure kaam se qabl
ek pachhtaavaa bure kaam ke anjaam ke baad
اک تجسس ہوا کرتا ہے برے کام سے قبل
ایک پچھتاوا برے کام کے انجام کے بعد
इक तजस्सुस हुआ करता है बुरे काम से क़ब्ल
एक पछतावा बुरे काम के अंजाम के बाद

agar ho qais to phir jaa ke DhunDo lailaa ko
agar ho jaun to phir faariha ke saath raho
khudi se pyaar karo aur khudaa ke saath raho
ye tum se kis ne kahaa bevafaa ke saath raho
sazaaein dekhtaa huun aur sochtaa huun main
jahaan mein ishq se baDh kar koi bhi jurm nahin
jab se TuuTaa hai to chubhtaa hai miri aankhon mein
khvaab thaa meraa kisi kaanch ke jaisaa shaayad
khudaa se chand maangein hain hamaari
hamaari bandagi haDtaal par hai
zindagi khvaab hai aur khvaab bhi aisaa ki jise
jaagti aankhon se sab ke liye dekhaa jaae
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
mai-kasho aage baDho tishna-labo aage baDho
apnaa haq maangaa nahin jaataa hai chhinaa jaae hai
ham na piyeinge bhiik ki saaqi
le ye tiraa paimaana paDaa hai
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gayaa