Shayari
tire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhi kabhi ise tanhaa bhi chhoD de
اچھا ہے دل کے ساتھ رہے پاسبان عقل
لیکن کبھی کبھی اسے تنہا بھی چھوڑ دے
achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aql
lekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbaltire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana
nahin teraa nasheman qasr-e-sultaani ke gumbad par
tu shaahin hai baseraa kar pahaaDon ki chaTaanon mein
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
Thaharnaa ishq ke aafaat ke sadmon mein 'nazir'
kaam mushkil thaa par allaah ne aasaan kiyaa
un kaa gham un kaa tasavvur un ke shikve ab kahaan
ab to ye baatein bhi ai dil ho gaiin aai gai