Shayari
tire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
عذاب دانش حاضر سے با خبر ہوں میں
کہ میں اس آگ میں ڈالا گیا ہوں مثل خلیل
azāb-e-dānish-e-hāzir se bā-ḳhabar huuñ maiñ
ki maiñ is aag meñ Daalā gayā huuñ misl-e-ḳhalīl

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbaltire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana
nahin teraa nasheman qasr-e-sultaani ke gumbad par
tu shaahin hai baseraa kar pahaaDon ki chaTaanon mein
nigaah-e-ishq dil-e-zinda ki talaash mein hai
shikaar-e-murda sazaa-vaar-e-shaahbaaz nahin
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
saath 'ghaalib' ke gai fikr ki gahraai bhi
aur lahja bhi gayaa 'mir-taqi-mir' ke saath
sochaa thaa lauT aaegaa apnaa samajh ke vo
us ko gila hai mujh ko pukaaraa nahin gayaa
aql thak kar lauT aai jaada-e-aalaam se
ab junun aaghaaz farmaaegaa is anjaam se
sochte aur jaagte saanson kaa ik dariyaa huun main
apne gum-gashta kinaaron ke liye bahtaa huun main