Shayari
tire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
puraane hain ye sitaare falak bhi farsuda
jahaan vo chaahiye mujh ko ki ho abhi nau-khez
پرانے ہیں یہ ستارے فلک بھی فرسودہ
جہاں وہ چاہیئے مجھ کو کہ ہو ابھی نوخیز
purāne haiñ ye sitāre falak bhī farsūda
jahāñ vo chāhiye mujh ko ki ho abhī nau-ḳhez

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbaltire ishq ki intihaa chaahtaa huun
miri saadgi dekh kyaa chaahtaa huun
haan dikhaa de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyaam tu
nahin is khuli fazaa mein koi gosha-e-faraaghat
ye jahaan ajab jahaan hai na qafas na aashiyaana
nahin teraa nasheman qasr-e-sultaani ke gumbad par
tu shaahin hai baseraa kar pahaaDon ki chaTaanon mein
azaab-e-daanish-e-haazir se baa-khabar huun main
ki main is aag mein Daalaa gayaa huun misl-e-khalil
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
din ko rukhsat kiyaa bahaane se
raat thi vo mire sitaare ki
kisi sitaare se kyaa shikaayat ki raat sab kuchh bujhaa huaa thaa
fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki nai kahaani
mujh ko rone to do dikhaa dungaa
bulbulaa hai ye aasmaan nahin
sar ko na pheink apne falak par ghurur se
tu khaak se banaa hai tiraa ghar zamin hai
Dartaa huun aasmaan se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigaah su-e-aashiyaan nahin
tere daaman mein sitaare hain to honge ai falak
mujh ko apni maan ki maili oDhni achchhi lagi