Shayari
yahi zamaana-e-haazir ki kaaenaat hai kyaa
dimaagh raushan o dil tiira o nigah bebaak
samundar se mile pyaase ko shabnam
bakhili hai ye razzaaqi nahin hai
سمندر سے ملے پیاسے کو شبنم
بخیلی ہے یہ رزاقی نہیں ہے
samundar se mile pyāse ko shabnam
baḳhīlī hai ye razzāqī nahīñ hai

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbalyahi zamaana-e-haazir ki kaaenaat hai kyaa
dimaagh raushan o dil tiira o nigah bebaak
tamannaa dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin miltaa ye gauhar baadshaahon ke khazinon mein
zindagaani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh
ju-e-shir o tesha o sang-e-giraan hai zindagi
hakim o aarif o suufi tamaam mast-e-zahur
kise khabar ki tajalli hai ain-e-masturi
jis khet se dahqaan ko mayassar nahin rozi
us khet ke har khosha-e-gandum ko jalaa do
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charaagh
aaj phir taaron bhari raat ne dam toD diyaa
koi kyaa bataae ki ziist mein na kashish rahi na mazaa rahaa
jo guzar gayaa vo shabaab thaa jo bikhar gayaa vo jamaal thaa
ik raat dil-jalon ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam mein Daal de