Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
dil-e-sad-chaak miraa raah yahaan kab paae
kucha-e-zulf mein phirtaa hai tire shaana kharaab
دل صدچاک مرا راہ یہاں کب پائے
کوچۂ زلف میں پھرتا ہے ترے شانہ خراب
दिल-ए-सद-चाक मिरा राह यहाँ कब पाए
कूचा-ए-ज़ुल्फ़ में फिरता है तिरे शाना ख़राब

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
naa-karda gunaahon ki bhi hasrat ki mile daad
yaa rab agar in karda gunaahon ki sazaa hai
ik sadaa ki surat ham is havaa mein zinda hain
ham jo raushni hote ham pe bhi jhapaTti raat
jin ki hasrat mein dil-e-rusvaa ne gham khaae bahut
sang ham par in darichon ne hi barsaae bahut