Shayari
khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
us ne rakkhaa thaa haath saahil par
tab se dariyaa mein bhi sharaare hain
اس نے رکھا تھا ہاتھ ساحل پر
تب سے دریا میں بھی شرارے ہیں
उस ने रक्खा था हाथ साहिल पर
तब से दरिया में भी शरारे हैं

khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
shab-e-gham ki yuun bhi main kartaa huun 'izzat
ye shab 'umr mein mujh se kaafi baDi hai
kuchh der to Dare tiri jaadugari se ham
phir dekhne lage tujhe sanjidgi se ham
main ne dafnaae vaaldain apne
mujh se puchho ki hausla kyaa hai
saath jab chhoD gae meraa tum ai kuza-gar
khud ko majburi mein phir khud hi taraashaa main ne
dhuein ne bhinch di chikhein tabhi pata ye chalaa
ki ghar mein ek daricha bahut zaruri hai
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
haal to daryaaft kar lete the ab vo bhi nahin
khaamushi pahle hamaare darmiyaan aisi na thi
achchhaa 'amal samajh ke jo dariyaa mein Daal diin
dil kartaa hai vo nekiyaan paani se khinch luun
aankhon se kyaa ret giregi
dariyaa to ab suukh chukaa hai
aankhon se ik dariyaa niklaa
dariyaa se kuchh laashein niklin
kahin bujhti hai dil ki pyaas ik do ghunT se 'anzar'
main suraj huun mire hisse mein dariyaa likh diyaa jaae