Shayari
khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
kuchh der to Dare tiri jaadugari se ham
phir dekhne lage tujhe sanjidgi se ham
کچھ دیر تو ڈرے تری جادوگری سے ہم
پھر دیکھنے لگے تجھے سنجیدگی سے ہم
कुछ देर तो डरे तिरी जादूगरी से हम
फिर देखने लगे तुझे संजीदगी से हम

khush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo maan kaa haath
ham yatimon ko pata hai ye du'aa kyaa chiiz hai
shab-e-gham ki yuun bhi main kartaa huun 'izzat
ye shab 'umr mein mujh se kaafi baDi hai
us ne rakkhaa thaa haath saahil par
tab se dariyaa mein bhi sharaare hain
main ne dafnaae vaaldain apne
mujh se puchho ki hausla kyaa hai
saath jab chhoD gae meraa tum ai kuza-gar
khud ko majburi mein phir khud hi taraashaa main ne
dhuein ne bhinch di chikhein tabhi pata ye chalaa
ki ghar mein ek daricha bahut zaruri hai
be-khud aisaa kiyaa khauf-e-shab-e-tanhaai ne
subah se shama jalaa di tire saudaai ne
ye ku-e-mai-farosh mein raulaa huaa ki raat
dahshat se vaan Thahar na sakaa paa-e-mohtasib
Dar Dar ke jaagte hue kaaTi tamaam raat
galiyon mein tere naam ki itni sadaa lagi
khudaa ke Dar se ham tum ko khudaa to kah nahin sakte
magar lutf-e-khudaa qahr-e-khudaa shaan-e-khudaa tum ho
aataa hai khauf aankh jhapakte hue mujhe
koi falak ke kheme ki rassi na kaaT de
mazra-e-duniyaa mein daanaa hai to Dar kar haath Daal
ek din denaa hai tujh ko daane daane kaa hisaab