Shayari
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
tiir khaane ki havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshi ki tamannaa hai to sar paidaa kar
تیر کھانے کی ہوس ہے تو جگر پیدا کر
سرفروشی کی تمنا ہے تو سر پیدا کر
तीर खाने की हवस है तो जिगर पैदा कर
सरफ़रोशी की तमन्ना है तो सर पैदा कर

kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
haqiqatein to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla huaa hai
nai manzil kaa junun tohmat-e-gumraahi hai
paa-shikasta bhi tiri raah mein kahlaayaa huun
chalo ki jazba-e-izhaar chikh mein to Dhalaa
kisi tarah ise aakhir adaa bhi honaa thaa
hausla hai to safinon ke alam lahraao
bahte dariyaa to chaleinge isi raftaar ke saath
ji bahut chaahtaa hai sach bolein
kyaa karein hausla nahin hotaa
piiri mein shauq hausla-farsaa nahin rahaa
vo dil nahin rahaa vo zamaana nahin rahaa