Shayari
ki mire baa'd qatl se tauba
aakhiri tiir thaa kamaan mein kyaa
K
Khalida Uzmahaqiqatein to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla huaa hai
حقیقتیں تو اٹل ہیں بدل نہیں سکتیں
مگر کسی کی تسلی سے حوصلہ ہوا ہے
हक़ीक़तें तो अटल हैं बदल नहीं सकतीं
मगर किसी की तसल्ली से हौसला हुआ है
ki mire baa'd qatl se tauba
aakhiri tiir thaa kamaan mein kyaa
idhar udhar ke sunaae hazaar afsaane
dilon ki baat sunaane kaa hausla na huaa
chale aate hain be-mausam ki baarish ki tarah aansu
basaa-auqaat rone kaa sabab kuchh bhi nahin hotaa
ziist aur maut kaa aakhir ye fasaana kyaa hai
umr kyuun hasb-e-zarurat nahin di jaa sakti
basi hai sukhe gulaabon ki baat saanson mein
koi khayaal kisi yaad ke hisaar mein hai
vo tapish hai ki jal uThe saae
dhuup rakkhi thi saaebaan mein kyaa
havaa ke saath safar kaa na hausla thaa jise
sabhi ko khauf usi lamha-e-sharar se thaa
fazaa mein guunj rahi hain kahaaniyaan gham ki
hamin ko hausla-e-sharh-e-daastaan na rahaa
hausla hai to safinon ke alam lahraao
bahte dariyaa to chaleinge isi raftaar ke saath
kyuun tire dard ko dein tohmat-e-viraani-e-dil
zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain
ji bahut chaahtaa hai sach bolein
kyaa karein hausla nahin hotaa
abhi mujh mein bahut himmat hai lekin
kisi haare hue lashkar mein huun main