Shayari
mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
subh ki chaae se phir aaiin yaad
tere pahlu mein chaae ki shaamein
صبح کی چائے سے پھر آئیں یاد
تیرے پہلو میں چائے کی شامیں
सुब्ह की चाय से फिर आईं याद
तेरे पहलू में चाय की शामें

mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
ho duur pa yuun mujh mein samaai ho ki jaise
ashk aankhon se niklein bhi to nam rahti hain aankhein
tujh se jab guftugu nahin hoti
khud se teri hi baat kartaa huun
main ne chaahaa hai jise yuun to mukammal hai magar
ik kami hai ki use urdu nahin aati hai
chaar-su phailaa hai ab to ek bas furqat kaa rang
ab talak yak-rang tasvir-e-jahaan aisi na thi
hai tirgi se jang muqaabil aur apne saath
jugnu ki saf hai jashn-e-charaaghaan nahin to kyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad abhi nahin hamein zehn pe zor de chuke
tum hi se milne aae the tum se hi kaam thaa zarur
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin naayaab hain ham
jo yaad na aae bhuul ke phir ai ham-nafaso vo khvaab hain ham
'ambar' us ke biite kal kaa qissa huun main
phir kaahe kaa shauq ki us ko yaad bhi huun main
phir meri khabar lene vo sayyaad na aayaa
shaayad ki miraa haal use yaad na aayaa
ik tiri yaad gale aise paDi hai ki 'najib'
aaj kaa kaam bhi ham kal pe uThaa rakhte hain