Shayari
main ne aankhon mein jalaa rakhaa hai aazaadi kaa tel
mat andheron se Daraa rakh ki main jo huun so huun
har ek shakhs tumhaari tarah nahin hotaa
koi kisi se mohabbat kahaan kare kaise
ہر ایک شخص تمہاری طرح نہیں ہوتا
کوئی کسی سے محبت کہاں کرے کیسے
हर एक शख़्स तुम्हारी तरह नहीं होता
कोई किसी से मोहब्बत कहाँ करे कैसे

main ne aankhon mein jalaa rakhaa hai aazaadi kaa tel
mat andheron se Daraa rakh ki main jo huun so huun
naam teraa bhi rahegaa na sitamgar baaqi
jab hai firaun na changez kaa lashkar baaqi
tiri mahfil mein sab baiThe hain aa kar
hamaaraa baiThnaa dushvaar kyuun hai
jo parinde uD nahin sakte ab un ki khair ho
aane vaalaa hai isi jaanib shikaari haae haae
baDaa aazaar-e-jaan hai vo agarche mehrbaan hai vo
agarche mehrbaan hai vo baDaa aazaar-e-jaan hai vo
tiri aankhon ne dhoyaa hai mujhe yuun
main bilkul saaf-suthraa ho gayaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
tiri abru hai mehraab-e-mohabbat
namaaz-e-ishq mere par hui farz