Shayari
dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
mujh se khaali hai meraa aaina
aansuon se bharaa huaa huun main
مجھ سے خالی ہے میرا آئینہ
آنسوؤں سے بھرا ہوا ہوں میں
मुझ से ख़ाली है मेरा आईना
आँसुओं से भरा हुआ हूँ मैं

dard se bhartaa rahaa zaat ke khaali-pan ko
thoDaa thoDaa yunhi bharpur kiyaa main ne mujhe
kaisi hoti hain udaasi ki jaDein
aa dikhaaun tujhe dil ke reshe
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti
har ek shai ko dobaara badal ke dekhtaa huun
Thiik se yaad bhi nahin ab to
ishq ne mujh mein kab qayaam kiyaa
barham hain mujh pe is liye donon taraf ke log
divaar uTh gai thi to dar kyuun banaayaa hai
patthar mein kaun jonk lagaaegaa mere dost
dil hai to mubtalaa bhi kahin honaa chaahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vahi akelaa hai anjuman mein
vahi hai tanhaa makaan mein bhi
kis se ummid karein koi ilaaj-e-dil ki
chaaraagar bhi to bahut dard kaa maaraa niklaa
mujhi se aai thi milne udaas chaandni raat
agar ye jaantaa hotaa to jaagtaa bhi main