Shayari
tamaam umr miraa mujh se ikhtilaaf rahaa
gila na kar jo kabhi teraa ham-navaa na huaa
vahi akelaa hai anjuman mein
vahi hai tanhaa makaan mein bhi
وہی اکیلا ہے انجمن میں
وہی ہے تنہا مکان میں بھی
वही अकेला है अंजुमन में
वही है तन्हा मकान में भी

tamaam umr miraa mujh se ikhtilaaf rahaa
gila na kar jo kabhi teraa ham-navaa na huaa
ab na vo zauq-e-vafaa hai na mizaaj-e-gham hai
hu-ba-hu garche koi teri misaal aayaa thaa
kis se ummid karein koi ilaaj-e-dil ki
chaaraagar bhi to bahut dard kaa maaraa niklaa
jaate jaate diyaa is tarah dilaasaa us ne
biich dariyaa mein koi jaise kinaara niklaa
main khud hi apne taaaqub mein phir rahaa huun abhi
uThaa ke tu meri raahon se raastaa le jaa
main dar-ba-dar huun abhi apni justuju mein bahut
main apne lahje ko andaaz de rahaa huun abhi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ab main huun miri jaagti raatein hain khudaa hai
yaa TuTte patton ke bikharne ki sadaa hai
ham udaasi ke parastaar sahi
hanste chehron ko duaa dete hain
mere gham mujh se ye puchhaa karte hain
ghar mein pankhaa hai to rassi bhi hogi