Shayari
jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
ishq-e-butaan kaa le ke sahaaraa kabhi kabhi
apne khudaa ko ham ne pukaaraa kabhi kabhi
عشق بتاں کا لے کے سہارا کبھی کبھی
اپنے خدا کو ہم نے پکارا کبھی کبھی
इश्क़-ए-बुताँ का ले के सहारा कभी कभी
अपने ख़ुदा को हम ने पुकारा कभी कभी

jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai
khamoshi bhi hai ye aavaaz bhi hai
maut hi insaan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaaegi
ik raushni si dil mein thi vo bhi nahin rahi
vo kyaa gae charaagh-e-tamannaa bujhaa gae
khushk baaton mein kahaan hai shaikh kaif-e-zindagi
vo to pi kar hi milegaa jo mazaa piine mein hai
saaqi miri khamosh-mizaaji ki laaj rakh
iqraar gar nahin hai to inkaar bhi nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
us ne puchhaa hai kyaa mohabbat hai
ab bhalaa kyaa javaab duun us ko
ye zakhm-e-ishq hai koshish karo haraa hi rahe
kasak to jaa na sakegi agar ye bhar bhi gayaa
naa-shanaasaan-e-mohabbat kaa gila kyaa ki yahaan
ajnabi vo hain ki thi jin se shanaasaai bhi