Shayari
aise iqraar mein inkaar ke sau pahlu hain
vo to kahiye ki labon pe na tabassum aae
na aayaa gham bhi mohabbat mein saazgaar mujhe
vo khud taDap gae dekhaa jo be-qaraar mujhe
نہ آیا غم بھی محبت میں سازگار مجھے
وہ خود تڑپ گئے دیکھا جو بیقرار مجھے
न आया ग़म भी मोहब्बत में साज़गार मुझे
वो ख़ुद तड़प गए देखा जो बे-क़रार मुझे

aise iqraar mein inkaar ke sau pahlu hain
vo to kahiye ki labon pe na tabassum aae
itnaa to bataa jaao khafaa hone se pahle
vo kyaa karein jo tum se khafaa ho nahin sakte
ai mauj-e-havaadis tujhe maalum nahin kyaa
ham ahl-e-mohabbat hain fanaa ho nahin sakte
na bazm apni na apnaa saaqi na shisha apnaa na jaam apnaa
agar yahi hai nizaam-e-hasti to zindagi ko salaam apnaa
haalaat ne kisi se judaa kar diyaa mujhe
ab zindagi se zindagi mahrum ho gai
ishq ko jab husn se nazrein milaanaa aa gayaa
khud-ba-khud ghabraa ke qadmon mein zamaana aa gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
shab-e-firaaq kuchh aisaa khayaal-e-yaar rahaa
ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qaraar rahaa
kyaa rashk hai ki ek kaa hai ek muddai
tum dil mein ho to dard hamaare jigar mein hai
aaj phir dab gaiin dard ki siskiyaan
aaj phir gunjtaa qahqaha rah gayaa