Shayari
mire ashkon pe hai shabnam kaa gumaan tum ko magar
aag lag jaae na daaman ko bachaae rakhnaa
tiraa gham tiri mohabbat hai jabin-e-dil kaa markaz
miraa zauq-e-sajda-rezi abhi dar badar nahin hai
ترا غم تری محبت ہے جبین دل کا مرکز
مرا ذوق سجدہ ریزی ابھی در بدر نہیں ہے
तिरा ग़म तिरी मोहब्बत है जबीन-ए-दिल का मरकज़
मिरा ज़ौक़-ए-सज्दा-रेज़ी अभी दर बदर नहीं है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kahaa laDke ki ammi ne rahegi khush sadaa beTi
ki uupar se bhi laDke ki kamaai hoti rahti hai
maut ki god mein jab tak nahin tu so jaataa
tu 'sadaa' chain se hargiz nahin sone vaalaa
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa