Shayari
jaa tujhe tere havaale kar diyaa
kheinch le ye haath phailaayaa huaa
vo shakhs jis ki khushi kaa baais thiin meri baatein
use ab un par malaal karne bhi aa gae hain
وہ شخص جس کی خوشی کا باعث تھیں میری باتیں
اسے اب ان پر ملال کرنے بھی آ گئے ہیں
वो शख़्स जिस की ख़ुशी का बाइस थीं मेरी बातें
उसे अब उन पर मलाल करने भी आ गए हैं

jaa tujhe tere havaale kar diyaa
kheinch le ye haath phailaayaa huaa
shaam Dhalne se faqat shaam nahin Dhalti hai
umr Dhal jaati hai jaldi palaT aanaa mire dost
apni qismat mein sabhi kuchh thaa magar phuul na the
tum agar phuul na hote to hamaare hote
shaam hoti hai to lagtaa hai koi ruuTh gayaa
aur shab us ko manaane mein guzar jaati hai
hijr insaan ke khad-o-khaal badal detaa hai
kabhi fursat mein mujhe dekhne aanaa mire dost
ham aaine mein tiraa aks dekhne ke liye
kai charaagh nadi mein bahaane lagte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
kuchh aastinon ki majburiyaan bhi hoti hain
khushi se apni bhalaa saanp kaun paaltaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa