Shayari
tire kuche mein koi huur aa jaati to main kahtaa
ki vo jannat to kyaa jannat hai jannat aisi hoti hai
gadaa-e-kucha-e-jaanaan huun martaba hai baDaa
ki mere naam hai jaagir be-navaai ki
گدائے کوچۂ جاناں ہوں مرتبہ ہے بڑا
کہ میرے نام ہے جاگیر بے نوائی کی
गदा-ए-कूचा-ए-जानाँ हूँ मर्तबा है बड़ा
कि मेरे नाम है जागीर बे-नवाई की

tire kuche mein koi huur aa jaati to main kahtaa
ki vo jannat to kyaa jannat hai jannat aisi hoti hai
jalva nigaah mein hai kisi be-niyaaz kaa
putli hamaari aankh ki putlaa hai naaz kaa
na chitvan aap ki Thahri na dil miraa Thahraa
use sukun ho to is ko bhi kuchh qaraar rahe
aarzu ik but ki le kar jaate hain kaabe ko ham
turfa tohfa paas hai ahl-e-haram ke vaaste
mujhe tum dekh kar samjho ki chaahat aisi hoti hai
mohabbat vo buri shai hai ki haalat aisi hoti hai
agar nazaara hai manzur khastaa-haalon kaa
to aao khol dein juuDaa tumhaare baalon kaa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
bhari duniyaa mein faqat mujh se nigaahein na churaa
ishq par bas na chalegaa tiri daanaai kaa
main tujhe bhuul na paayaa to ye chaahat hai miri
yaad rakkhaa hai jo tu ne tiraa ehsaan jaanaan
is ke baghair leaderi apni thi naa-tamaam
kuchh is liye bhi jail mein jaanaa paDaa mujhe
dil na dete use to kyaa karte
ai 'asar' dukh hamein uThaanaa thaa